2/18/2013

TU Ne Phir Thukra Diya To Kya Huwa


?TU Ne Phir Thukra Diya To Kya Huwa
?Zakham Phir Taaza Huwa To Kya Huwa
?Apne MiLan Me Ek Haan Ki Der Thi
?Tujh Se Wo Bhi Na Huwa To Kya Huwa
?Ek Saada DiL Tumhare IshQ Me
?Be-waja Ruswaa Huwa To Kya Huwa
?Tere Jaane Se Huwa Kuch To Nahi
?Dard Agar Zyada Huwa To Kya Huwa
?Jis Ko Chaaha Hum Ne Saari Zindgi
?Wo Humaara Na Huwa
To Kya Huwa
?Aur Bhi Honge Hazaaro'n EhL-e-DiL
?Main Agar Tanha Huwa To Kya Huwa

2/16/2013

Tum Mosam Mosam Lagty Ho

    ..."TUM"...
.."Mosam Mosam
Lagtey Ho"..
.."Jo Pal Pal Rang Badltey Ho"..
Par Kehny Ko
Di.."Tum Sawan Sawan Lagtey Ho"..
.."Jo Sadiyon Baad Barstey Ho"..
.."Tum Sapna Sapna Lagtey Ho"..
.."Jo Mujh Ko Kam Kam Dikhtey Ho"..
.."Tum Pal Pal Mujh Sey Lartey Ho"..
.."Phir Bhi Achey Lagtey Ho"..
.."Baat Tou Hai mhbt si"..
.."l Chahta Hai"..
.."Lo Aaj Tumhein
Yeh Keh Dala"..
"Tum Apney Apney
Lagtey Ho

1/30/2013

Hath Khali hain Tery Shehar Sy Jaty Jaty


Hath Khali hain Tery Shehar Sy Jaty Jaty.

.
Jaan Hoti To "Meri Jaan" Lutaty Jaty.
.
.
Mujh Sy Pehly Bhi Musafir Kai Guzry Hon Gy.
.
Kam sy Kam Raah K Pather To Hataty Jaty.
.
.
Mujhy Rony Ka Bhi Saliqa Nahi Aata Shayed.
.
Log Hansty Hain Mujhy Dekh K Aaty Jaty 
.
Main Bhi Majboor Tha Main Ny Usy Roka Bhi Nahi
.
 faraz
.Wo Dekhta hi Raha Murr K Mujhy Jaty jaty. . . .,

Kathan safar hai mohbaton ka


Kathan safar hai mohbaton ka,

Sarab rastay hain soch lena,
Wo chor jatay hain ik qadm per,
Jo sath chalty hain soch lena,
Ye reet tum na nibaah sako gay,
Na sang rehny ki baat krna,
K ishq waalon ki rehguzar me,
Azaab miltay hain soch lena,
Tuhmain kaha tha k bana k apna,
Fareb deta hai yeh zamana,
Tumhain kaha tha k asteeno me
Saanp paltay hain soch lena,
Wo aik basti jahan pe hum tum,
Milay thay mil k bicher gaye thay,
Wahan pe ab bhi meri wafa k,
Charaagh jaltay hain soch lena.....!!

Bazoun me aa ker b sahara na mila...

Bazoun me aa ker b sahara na mila...
.
Me wo leher hun jise kinara na mila
.
Mil gya mjhy jo kuch b chaha main ne
.
Mila nai to sirf sath tumhara na mila
.
wese to sitaron se bhara hua hai aasman
.
jo hum dhond rahey they wo sitara na mila
.
Kuch is tarha se badli phir zindagi hamari,
.
Phir jise b pukara wo dobara na mila
.
ehsas to hua usey mgar deir hogai
.
us ne dhonda mgr nishan humara na mila...

Titliyaan, Konplain, Rang-O-Boo Aur Tu,


Titliyaan, Konplain, Rang-O-Boo Aur Tu, 

.
Chaandni shaa'iri har taraf Aur Tu,
.
Daman-E-Koh K Manzr-E-Khawab Mein, Roshni Ho Meray Chaar Soo Aur Tu,
.
Sandali Sandali Khaamshi Aur Main, Makhmali Makhmali Guftgu Aur Tu,
.
Is Taraf Ishq Ki Tishnagi Aur Main, Us Taraf Husn Ki Aab-e-Joo Aur Tu, 
.
Jis Taraf dekhiye Aur Kuch Bhi Nahi, Sirf Main Aur Main, Sirf Tu Aur Tu.!! 

Faqat ye ilteja hai tum Se

Faqat ye ilteja hai tum Se
K Rabton ko Bahal rakhna
Kahin b Jana kahin b Rehna
Magr Humara khyal Rakhna
Abi Bhanwar men hai meri Nao
Abi sitary hain Gardishon men
Me lout aounga Teri Janib
Bachaa k kuch
Mah-o-saal Rakhna
Suno 
Tum apna khyal Rakhna

"! Kon Tha Wo !"

"! Kon Tha Wo !"
Jis Ne Teri Ana Ki Khatir,
Wafa Ki Khatir,
Hansty Basty Jahan Ko Chora,
Tamam Dunya Se Rishta Tora,
Apni Khushiyan Nisar Kar Ke,
Teri Jawani Se Pyar Kar Ke,
Tujhe Wafa Ka Khuda Bana Ke,
Tumhary Qadmon Mein Sar Jhuka Ke,
Kon Tha Jis Ne Dukh Utha Ke,
Mohabaton Ko Dawaam Bakhsha,
Tujhe Zamany Mein Naam Bakhsha,
Tumhari Khatir Zamany Bhar Ki,
Tamam Rasmon Se Larne Wala,
Bohat Ranjeeda,
Sitam Raseeda,
Wafa Gazeeda,
Kal Aik Koochy Mein Ro Raha Tha,
Zara Batao Ke Kon Tha Wo,
Kisi Ne Pocha To Kya Kaho Gy,
Naam Mera Bata Sako Gy.

Nigaah-e-Shoq Se Hum Ne

Nigaah-E-Shoq Se Hum Ne Tumhain Ek Bar Dekha Tha
Koi Jazba Tha Pehli Bar Jise Be_Dar Dekha Tha
Wo Jis K Hont Per Her Dam Saji Muskan Rehti Thi
Na Jane Q Use Main Ne Bara Bezar Dekha Tha
Roz-O-Shab Badalne Main Bhala Kya Dair Lagti Hai
Jo Takht-O-Taaj Rakhte The Unhain La-Char Dekha Tha
Hum Apne Dost Dushman Ki Khabar Jo Rakh Nahi Paye RASHID
Usi Ne War Ker Dala Jisay Gham_Khwar Dekha Tha

Kitni Shamain Roshan Hon Gi

Kitni Shamain Roshan Hon Gi !
Kitne Deep Jalao Ge !
Pyaar Ki Pehli Saalgirah,
Tum Kiske Saath Manao Ge !
Aakhir Wo Din Kab Aaye Ga Jab Khalwat Mein Mujhse Tum
Mere Dil Ka Haal Suno Ge Apna Haal Sunao Ge
Farz Karo Gar Baad-e-Furqat Main Tumko Mil Jaoon To
Hairat Mein Parr Jao Ge
Ya Seene Se Lag Jao Ge !
Ho Jao Tum Laakh Kisi Ki Lekin Sun Lo Phir Bhi Tum . .
Mujhse Hi Mansoob Raho Gi Meri Hi Kehlao Ge..

Safar_e_Wafa ki Rah Me

Safar_E_Wafa ki Rah Me Manzl Jafa ki Thi,
Kaghz Ka Ghar Bna K B Khawhish Hawa ki Thi,
Thi Jugnoun k Shahar Me Taron Se Dushmani,
Mashoq Chand Tha Aur Tamana Subha Ki Thi,
Tum Ne To Ibadat ka Tmasha Bna Dia,
Chahat Nimaz ki Thi Per Adat Kaza ki Thi,
Me Ne Tu Zindgi Ko Tere Naam Likha Tha,
Shayad Mgr Kuch Aur Hi Marzi Khuda ki Thi,
Dard Hi Dena Tha Tu Pehly Bta Dety,
Ham ko Bhi Azzl Se Hi Tmana Saza ki Thi..., 

Kabi yaad aaye to pochna

Kabi yaad aaye to
pochna..
Zara apni khalvat-e-shaam se,
Kisy ishq tha teri zaat
se..??
Kisy pyar tha tere naam
se..?
Zara yaad kr k woh kon
tha,
Jo kabi tujhe b azeez tha,
Wo jo G utha tere naam
se,
Wo jo mar mita tere naam
pe,
Humein berukhi ka nahi gila,
K yehi wafaon ka hai sila,
Magar aisa jurm tha kon sa,
Gaye hum dua-o-salam
se..?
Na kabhi visaal ki chaah ki,
Na kabhi firaaq mein aah ki,
K mera treeqa-e-bandagi,
He juda treeqa-e-aam se 

Dil ki chokhat pe jo ek deep jala rakha hai

Dil ki chokhat pe jo ek deep jala rakha hai,
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai,
Saans tak bhi nahi letay tujhe sochte waqt,
Humne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai,
Rooth jate ho to kuch aur haseen lagte ho,
Humne yeh soch k hi tum ko khafa rakha hai,
Tum jise rota huwa chhor gaye thay ek din,
Humne us shaam ko seene se laga rakha hai,
Chain lenay nahi deta yeh kisi tarah bhi mujhe,
Teri yaadon ne jo toofan utha rakha hai.

Meri yaad jo sataye to phir chalay Aana.

Meri yaad jo sataye to phir chalay Aana.
kahien Qarar na aye to phir chalay Aana. 
Har shaks hai dunya mein pyar k kabil.
Kisi pe pyar na aye to phir chalay Aana.
Tera waqar rahy ga Qaim meri nazro mein.
Nazar say koi giraye to phir chalay Aana. 
Khuda karay k baharon mein zindagi guzray.
khizan ka khof sataye to phir chalay Aana. 
Dard ki halat mein be dunya ko hansanay walay. 
Agr tujay dunya rulaye to phir 
chalay Aana...!

1/29/2013

Kathan andheiroon ki rah-guzar py

Kathan andheiroon ki rah-guzar py charagh-e-subho jala jala k,
Qasam sy aankhain bhi thak gai hain tum sy aansoo chupa chupa k,
Kisay khabar thi k aik chehry sy itnain chehry kasheed hoon gy,
Mein thak gaya hun tumharay chehroon ko aayeny mein saja saja k,
Hum itny sada mizaaj kab thy magar saraboon ki rah-guzar py,
Faraib deita raha zamana tumhari surat dikha dikha k,
Ajab tanasub sy zehn-o-dil mein khayal taqseem ho rahy hain,
Mujhy muhabbat si ho gai hy tumhein muhabbat sikha sikha k.


Tanha hun aur yad teri aai Hai

Tanha hun aur yad teri aai Hai,
Kiya khoob Saza dekh Mohabat mein pai hai, 
Tum se bichar k jaoun to kahan jaoun,
Zanjeer chahat ki tu ne mere paon mein pehnai hai,
Meri sochon pe pehry hein teri yadon k,
Mere chehry par tere piyar ki Ranaai hai,
Mar jaoun Agar tum ko bhula dun ik pal,
Main ne chahat ko nibhany ki Qasam khai hai,
Ly ly jan ay Khuda nahi jena us bin,
Bin us k jena meri chahat ki ruswai hai. 

1/28/2013

Koi Aa Kar Mera Haath Thaam Le

Koi Aa Kar Mera Haath
Thaam Le,
Mujhe Tanhaaiyon Se Dar Lagta Hai,
Koi Apna Keh Kar Mera
Naam Le,
Mujhe Harjaaiyon Se Dar Lagta Hai,
Sama Jaaye Koi Mere Vajood Main,
Mujhe Judaaiyon Se Dar
Lagta Hai,
Mohabbat Main Doob Jaoon
Main Bhi Magar,
Mujhe Gehraaiyon Se Dar Lagta hai,
Kar Loon Barbaad Zindagi
Apni Magar,
Mujhe Tabaahiyon se Dar Lagta Hai,
Tu Kahe To Ho Jaoon Tera
Magar,
Mujhe
Be'wafaaiyon se dar lagta hai....

Kabhi Unka Naam Lena

Kabhi Unka Naam Lena"
Kabhi Unki Baat Kerna"
Mera Zooq Unki Chahat,
Mera Shoq Un Pe Marna"
Kabhi Chalte Chalte Thamna Or Tham K Beith Jana"
Kabhi Larkhara K Girna,
Or Gir K Phir Sambhalna"
Kabhi Raat Raat Rona,
Kabhi Din Charhe Sisakna"
Kabhi Darya Darya Rehna,
Kabhi Boond Ko Tarasna"
Raha ishq Se Hamesha,
Koi Wasta Hai Apna"
Yahi Zindagi Hai Apni"
Yahi Rasta Hai Apna...

Jb to sath hai to kisi ki zrorat nai mjhy

Jb to sath hai to kisi ki zrorat nai mjhy
Har tarf andhera hy per roshni ki zrorat nai mjhy
Koi rehta hy har waqt khayalo me is trha
K khuwab dekhny ki zrorat nai mjhy
1 dost hy jo bant lyta hy har dukh mera
Har kisi ko apna gham btany ki zrorat nai mjhy
Us ki har bat lajawab hy mery liy
Us ki tareef kRny ki zrorat nai mjhy
Us ki ankho ki kashish kahi jany nai dyti mjhy
Us k illawa kisi ko apna bnany ki zrorat nai mjay

Saamny Manzil Thi or Peechay Us Ki Aawaaz

~Saamny Manzil Thi or Peechay Us Ki Aawaaz...      
~Rukta to Safar jata,
Chalta To Bichar jata.
~Maekhana Bhi usi ka tha,
Maekar Bhi us k. 
~Agr peeta to emaan jata,
na peeta to Sanam jata.
~Saza aesi mili mujh ko, 
zakhm aese lage Dil par.
~Chupaata to jigar jata,
Sunata to bikhar jata.
~Mere gham ki dawa na thi Siwaye yar k koochay k,
~Main jaon To kidhr jaon,
main jata To kidhr jata....